Apnakarachi Submissions
SOCH
- Owner
- fihsak
- Hits
- 150
- Votes
- 1
- Rating
- 4.00
- Created
- 2008-07-24 08:00:48
Malal hay magar itna malal thori hay
bus apne wastay hi fikarmand hain sab log
yahan kisi ko kisi ka khayal thori hay
Parron ko kaat dia hay uraan say pehlay
ye khof-e-hijr hay shoq-e-wisal thori hay
Jawab ye hai keh ab koie bhe jawab neheen
Sawal ye hai ka ab yeh sawal thori hay
Maza to tab hai kah tum jan boojh ker haro
Hamesha jeet hi jana kaamal thori hay

