Apnakarachi Submissions
partas
- Owner
- partas
- Hits
- 91
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-08-05 00:15:11
ji main aata hai ussay choom lain hur baat k baad
ye mohabbat main bara jurm gina jata hai
tum kissi aur ko sajda karo us zaat k baad
us ne to piyar ka andaz nirala rakha
woh to zakhmon pe chirakta hai namak maat k baad
us k main husn ki tareef karon ga kaisay
woh jo paiker main dhalay saray khayalat k baad
neend main us pe khayal-e-sang-e-mar mar guzray
chand shurmaye ussay daikh k hur raat k baad
kiun woh dawa na karay tujh se mohabbat ka muaan
baat kerta hai humaisha jo teri baat k baad
mairi kitab hissar-e-mohabbat main se aik ghazal aap sab k liye
(amir muaan by hissar-e-mohabbat )

