Apnakarachi Submissions
Yunhe besabab na phira karu kui shaam ghar bhi raha
- Owner
- Doctor
- Hits
- 52
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-08-08 16:47:07
Wo ghazal ki Sachi kitab hey osay chupkay chupkay paraha karu
Kui haath bhi na milay ga ju galay milu gay tapaak sy
Ye naey mizaaj ka Shahir hey zara faslay sy mila karu
Abhi raha mein kui mor hein kui aey ga kui jay ga
Tumhein jes ny dil sy bhola dia osay bholny ki dua karu
Mujhay ishtahaar si lagti hein ye muhabatoon ki kahanian
Ju kaha nahi wo Suna karu ju Suna nahi wo kaha karu
Kabhi husn-e-parda nashin bhi hu zara ashiqana liabs mein
Ju main ban sanwar k kahein chalun meray saath tum bhi chala karu
Nahi behijaab wo chaand sa k nazar ka kui asar na hu
Osay etni garmi-e-shoq sy Bari dair tak na taka karu
Ye khizaan ki zard si shaal mein Ju udaas pair k pass hey
Ye tumhary ghar ki bhar hey osay ansowoon sy hara karu

