Apnakarachi Submissions
Wo Shakhs.....!!! By Rizwan Shah....!!!
- Owner
- Faraz_Zaidi
- Hits
- 101
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-08-18 23:56:46
meri fikar ke tasvoor main zinda howa wo shakhs
Mushkilat ke pehlo ko bhi itna samjha us ney
tapiti hoi bhi dhoop main saya howa wo shakhs
Pal pal main ghoftugo main shamil tha zikr mera
meray dil ki ranjisho main jakra howa wo shakhs
Ajaan tha main jis se goya wo aa gaya hai
zameen hai meri zindagi ka suljha howa wo shakhs
Nadaan nahi hai wo bhi aqil hoa hai sabeeth
ulfat ki manziloo pe utarta howa wo shakhs
Atish negha us ki meri qurbath pahna mangay
muj se qalam kesi ka jalta howa wo shakhs
Husn-o-jamaal aysa ke chand be-taab chandi ho
meri wafa pe go ke nikharta howa wo shakhs
Rizwan kar raha hoon yeh soch ke main sajjda
marjaoon ga main jab bhi Qazaa howa wo Shakhs

