Apnakarachi Submissions
Tera dil aik sundar naari toray gi
- Owner
- Doctor
- Hits
- 49
- Rating
- 0.00
- Created
- 2008-08-26 14:47:05
Raha mein mujhko ko aik jogi ny ruka tha
Teray haath ki rikha dikhna chahta hon
Maathay pay ju dikha hey wo dikhna chahta hon
Ghor sy dikha os ny meri hathhili ko
Jasay bojhay kui Kisi pehili ko
Thori dair wo mujhko ko takta raha
Phir aaha bhari aur kihnay laga
Baalik ye ju teray haath ki rikha hey
Main ny es mein tera sara jiwan dikha hey
Tera dil aik sundar naari toray gi
Kui bhi sapna pass teray na choray gi
Ro ro k tu apna haath barhay ga
Par chanda teray haath na aey ga
Ghumay ga dahir dahir aas liye
Maut teri hugi nadi kinaray piyaas liye
Murat ye tera dosh nahi ye huni hey
Tu ny apni naya aap daboni hey
dukh ka etna Jamba saath na dikha
Main Kisi ka aisa haath na dikha
Abhi tu tujh par aisa waqt bhi ana hey
Loog kahein gay tu pagla he diwana hey
Loogu mein bithay ga tu ghabray ga
Tanahai mein tujhko chain na aey ga
Dukh he dukh teray hisa mein aya hey
Arey baalik ye tu Kia likhwa k laya hey

