Apnakarachi Submissions
In jheel si gehri aankhon main
- Owner
- mughals
- Hits
- 164
- Votes
- 7
- Rating
- 4.85
- Created
- 2008-06-16 22:24:17
Is jheel kinaaray pal do pal ik khwaab ka neela phool khilay
Wo phool baha dain lehron main ik roz kabhi ham shaam dhalay
Is phool k behtay rangon main jis waqat larazta chaand chalay
Us waqat kaheen un aankhon main is bisray pal ki yaad to ho
In jheel si gehri aankhon main ik shaam kaheen abaad to ho
Phir chaahay umar samandar ki har moaj praishaan ho jaaye
Phir chaahay aankh dareechay se har khwaab guraizaan ho jaaye
Phir chaahay phool k chehray ka har dard numayan ho jaaye
Is jheel kinaaray pal do pal wo roop nagar eejaad to ho
Din raat ke is aainay se wo aks kabhi aazaad to ho
In jheel si gehri aankhon main ik shaam kaheen abaad to ho....!
Reviews (2)
byinsecurestar, June 19, 2008
great poetry ji, very nice
byburningheart, June 18, 2008
very nice as always :)
Results 1 - 2 of 2
